Hindi Hymn

Reh mere saath


Reh mere saath din jald dhal jata hai
Andhera badhta, Prabhu ho sahay
Jab mann udaas aur balheen howe haath
Hey dukhiton ke mitr, reh mere saath


Yeh thode din ka jeewan hota kshay
Sansaar ka sukh pratap beet jata hai
Aas paas sab kuch murjhata hai sakshat
Tu jo naa badalta, reh mere saath


Jo tu na rehe, mere saath sada
To mai shaitaan se kaise ladunga
Mann me ho sukh ya hove dukh ki raat
Yeshu sahayak ho, reh mere saath


Phir marte samay aapna krus dikha
Raat kar de din aur swarg ka marg bata
Din swarg mein khulta, Mit-ti jag ki raat
Tu jeete marte kaal reh mere saath

 


Shaant si raat


Shaant si raat, Pawan hai raat
Tham gayi hai kayenaat
Charon or phaila hai noor
Aao logon dekho wo door
Maa Mary ke sang.
Maa Mary ke sang.


Kaun hai ye shishu navjaat
Kaun hai ye baalak agyaat
Divya roop, komal se ang
Shaant bhaav, nidra abhang
Maa ki god mein
Maa ki god mein


Charon or phaili ye baat
Aaya jesu muktidaat
Mukh pe tej, hriday udar
Punya prem, daya apaar
Kripa, kshama anant
Kripa, kshama anant.

 


Suno Falki Fauj Sharif


सुनो फल्की फौज शरीफ़
गाती यीशु की तारीफ़ |
आई रहम की निदा,
मिले अब इन्सान, खुदा |
कौमों उठो, हो शादमान,
फ़लक से मिलाओ गान |
तुम मुबारक सब कहो
बेतलहम के बच्चे को |


Chorus
सुनो ! फलकी फौज शरीफ़ गाती यीशु की तारीफ़ |


जो मेहमूद आसमानों का,
जो माबूद जमानों का,
हो कुवारी से मौलूद
जिस्म में अब आ मौजूद |
वह मुजस्सम है कलाम,
ऐ खुदा-इन्सान, सलाम !
पहना आदम का लिबास
है खुदा हमारे पास |


शाह सलामती के आदाद |
तू जो रास्ती का आफ़ताब |
सब को ज़िन्दगी और नूर
तू ही बख्शता है भरपूर |
खाली की सब अपनी शान
ता न मारे फिर इन्सान |
बनी आदम हों बुलंद
दुसरे जनम के फजंद |


कौमो की मुराद, अब आ,
हम में अपना घर बना |
उठ, ऐ औरत की नसल
हम में सांप का सर कुचल |
शक़्ल आदम की मिटा,
अपनी सूरत दे बैठा
दूसरा आदम ऊपर से
अपनी उल्फत से भर दे


Suno Falki Fauj Sharif
Gaati Yeshu Ki Taaref
Aai Rehem Ki Nida
Mile Ab Insaan, Khuda
Kaumon Utho, Ho Shaadman
Phalak Se Milaao Gaan
Tum Mubarak Sab Kaho
Bethlehem Ke Bachche Ko


Chorus
Suno Phalki Phauj Shareef Gaati Yeshu Ki Tareef


Jo Mehmood Aasmaano Ka
Jo Mabood Zamano Ka
Ho Kuwaari Se Maulood
Jism Mein Ab Aa Maujood
Veh Mujassam Hai Kalaam
Ai Khuda-Insaan, Salaam
Pehla Aadam Ka Libaas
Hai Khuda Hamare Paas


Shah Salamti Ke Adaad
Tu Jo Raasti Ka Aaftaab
Sab Ko Zindagi Aur Noor
Tu Hi Bakshata Hai Bharpoor
Khaali Ki Sab Apni Shaan
Ta n Maare Phir Insaan
Bani Aadam Ho Buland
Doosre Janam Ke Phazand


Kaumo Ki Muraad, Aab Aa
Ham Mein Apna Ghar Bana
Uth, Ai Aurat Ki Nasal
Ham Mein Saanp Ka Sar Kuchal
Shakl Aadam Ki Mita
Apni Soorat De Baitha
Doosra Aadam Upar Se
Apni Ulfat Se Bhar De.