Sirf hai Masih
Sirf hai MASIH aasha meri
Jyoti bal voh geet mera
Voh neev hai mazbut chataan
Aandhi sukha ya toofaan
Kya uncha prem gehri shaanti
Jahan bhay naa ho sangharsh bhi
Sahayak hai sab kuch mera
MASIHA ke prem mein main khada
MASIH mera insaan bana
Poorna KHUDAWAND hai janma
Dharmikta ka pyaara tofa
Payee prem ke badle ghrina
Jab kroos par YESHU mara
Tript ho gaya Krodh KHUDA ka
Har paap uspar dala gaya
YESHU ke mrityu mein main jiya
Gaada use zameen mein
Jag ka prakaash andhere mein
Phir mahima se ujjwal din mein
Jee uthaa kabra se phir se
Jaise khada woh Vijay mein
Shraap paap ka toota mujhpar se
Main uska hoon woh mera hai
MASIHA ke paavan rakht se
Mrityu ka dar na dosh hai
Yahi toh MASIH ka bal mujhme
Pehle saans se aakhir talak
YESHU likhta takdeer meri
Narak ki shakti Na saazishein
Un Haathon se mujhko chuda payein
Jab tak vo laute ya mujhko bulaae
YESHU ki shakti mein main khada
Teri Bhalayi
Verse 1
Chahun Tujhe
Teri karuna kabhi na chhode
Har ek din
Tere haathon ne thaama hai
Har savera
Har ek shaam
Gaaoon main Teri bhalayi Khuda
Chorus
Jeevan bhar Tu wafadar hai
Jeevan bhar raha Tu kitna bhala
Har ek saans ki taakat se
Gaaoon main Teri bhalayi Khuda
Verse 2
Teri awaaz
Ne chalaya aag mein se
Andheri raaton mein
Tu sabse kareeb
Maine jaana Tu Pita hai
Maine jaana Tujhe dost
Jeeta aaya Teri bhalayi mein Khuda
Bridge
Teri bhalai Mera peecha kare (x2)
Karun zindagi, arpan abhi Mera sab kuch Tera hi
Yeshu Masih Kafi Hai