Hindi Hymn

Mera Praan Theek Hai


Jab shanti, jaise-nadi mere-or baheta hai
Jab gham jaese jheel ki laher
Jab andhi toofan, Mujhe jeene Na de
Theek hai mera Praan thik hai


Ref
Theek hai (Theek hai)
Theek hai (mera praan)
Theek hai mera Praan Theek hai


Me-re Li-ye ab hi Masi-h Zindagi
Yeh baaddh Chahe Mujhko doobaye
Ko-i dard na hoga, ya Maut ya jiwan, mein
Prabhu Mann ko shanti bata


Chahe-shaitan mera Mann ko khed pahuchaye
Vachan-Muj’he samarth, deta hai
Masih mera halat bilkul samajhta hai
Apna Laahu bahaya mere liye


Ab aeyga-bhale Yeshu-Asman mein ek din
Ghata Jab hatega woh din
Turahi ki awaaz sunenge sabhi
Theek hai-mera Praan Thik hai

 


Khush ho ki Yishu Aaya hai


Khush Ho Ki Yeshu Aaya Hai,
Usko Kubool Kar Le,
Hai Saari Srishti, Har Ek Pran
Masih Ko Jagah De
Masih Ko Jagah De
Masih ,Masih Ko Jagah De


Khush Ho Masih Ab Raja Hai
Sab Jaati, Har Zubaan,
Samundar Bhi, Pahad, Maidaan
Geet Gaaye Khush Har Aan
Geet Gaaye Khush Har Aan
Geet Gaaye,Geet Gaaye Khush Har Aan


Dukh Aur Takleef Veh Karta Door
Aur Paap Mita ta Hai
Andhere Mein Veh Hota Noor
Aashish Dilata Hai
Aashish Dilata Hai
Aashish , Aashish Dilata Hai


Veh Dharm Aur Sachahi Se
Ab Rajya Phailata Hai
Aur Apne Sare Karyon Mein
Veh Pyaar Dikhata Hai
Veh Pyaar Dikhata Hai
Veh ,Veh Pyaar Dikhata Hai

 


Reh mere saath


Reh mere saath din jald dhal jata hai
Andhera badhta, Prabhu ho sahay
Jab mann udaas aur balheen howe haath
Hey dukhiton ke mitr, reh mere saath


Yeh thode din ka jeewan hota kshay
Sansaar ka sukh pratap beet jata hai
Aas paas sab kuch murjhata hai sakshat
Tu jo naa badalta, reh mere saath


Jo tu na rehe, mere saath sada
To mai shaitaan se kaise ladunga
Mann me ho sukh ya hove dukh ki raat
Yeshu sahayak ho, reh mere saath


Phir marte samay aapna krus dikha
Raat kar de din aur swarg ka marg bata
Din swarg mein khulta, Mit-ti jag ki raat
Tu jeete marte kaal reh mere saath